Janaze ki Dua Hindi, Urdu, Arabic & English (Read & Download)
Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen ! Janaze ki dua kisi ke inteqal ke baad jab janaze ki namaz padhi jati hai tab Namaze janaze ki dua padhi jati hai. Yeh Allah se marne wale par reham aur maafi ki guzaarish hai.
Ye dua ek khaas tarika se padhi jati hai aur yeh ek ahem rasam hai jo musalmano ke liye marne wale ko di jati hai.
Musalman yeh maante hai ki inteqal hue insan ko sahi tarike se dafnana chahiye, jismein unhe gusl, nahana, kafan pahenana aur unke liye dua karna shamil hai.
Yeh dua Inteqal hue insaan ke liye uski rooh ko sukoon dene ka ek tarika hai.
Janaze ki Dua arabic zubaan mein ki jati hai, jismein Quran ki zubaan hai, aur yeh ek khoobsurat aur dil ko chhu jane wala dua hai.
Namaze janaza padhne ka tarika
Namaz e janaza ki shuruat “Allahu Akbar” se hoti hai, jo ki “Allah sabse bada hai” iska matlab hai, aur iske baad sana, durood sharif, aur ye janaze ki dua padhi jati hai.
" Allahummagfirli Hayyina Wa Mayyitina Wa Shahina Wa Gaibina Wa Sagirina Wa Kabirina Wa Jakarina Wa Unsana Allahumma Man Ahyithu Minna Fah'eehi Alal Islami Wa Man Fat'waffahu Minna Fat'waffahu Alaliman. "
Ans: ye ek dua hai jo ki muslimaan marne ke baad unke janaze ko dafnane ke waqt padhi jaati hai.
Ye dua kab aur kaise padhi jaati hai?
Ye dua marne ke baad janaze ki namaz me padhi jati hai.
Iss dua ka maqsad kya hai?
Iss dua padhne ka maqsad Allah se magfirat karwana hota hai.
Sharing Is Caring:
Muhammad Sid
Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.
2 thoughts on “Janaze ki Dua Hindi, Urdu, Arabic & English (Read & Download)”