5 Best Farhan Ali Waris Noha Lyrics (Read & Download)

Farhan Ali Waris Noha Lyrics
Noha 5 Best Noha Lyric
Reciter Farhan Ali Waris
Video By Farhan Ali Waris

Table of Contents

Overview

Assalamu Alaikum Nazreen ! “Farhan Ali Waris Noha Lyrics” mein, hum Farhan Ali Waris ke behtareen nohao ka zikr karenge jo unki shanakht ban gaye hain.

Farhan Ali Waris, ek mashhoor noha khwan hain jinhone apni awaz aur adaayegi ke zariye logon ke dilon ko choo liya hai.

Unke nohay, Muharram ke maheene mein Imam Hussain (AS) aur unke azadar ki shahadat par roohaniyat se bhare hue hai.

Unki nohao lyrics mein kaafi gehraai aur mehsoos karne wali adaayegi hoti hai, jo sunne wale ke dilon ko hila deti hai.

Is intro mein hum unke sabse behtareen nohao ke lyrics ka zikr karenge jo unke fans aur noha khwanon ke dilon ko chhu gaye hain.

5 Best Farhan Ali Waris Noha Lyrics

  • Har Zamana Mere Husain Ka Hai Lyrics
  • Lay Chal Hawa Karbala Lyrics
  • Noor E Nazar Ki Lash Lyrics
  • Shahzadah Ali Akbar Lyrics
  • Kaisay Main Sham Jaongi Baba Lyrics

Har Zamana Mere Husain Ka Hai Lyrics

Har Zamana Mere Husain Ka Hai
Har Deewana Mere Husain Ka Hai

Haq nibhana mere hussain ka hai
Dil thikana mere hussain ka hain

Jis ke sae se qayanat he sab
aesha nana mere hussain ka hain

Jiski Khatir Yeh Qayenat Bani
Woh Toh Nana? Mere Husain Ka Hai

Jis Jagah Hur Banaye Jaate Hain
Kaarkhana Mere Husain Ka Hai

jab se dhar me sajade alam
aana jana mere hussain ka hain

Jo Zameen Se Anaaj Ughta Hai
Dana Dana Mere Husain Ka Hai

Mere Ghar Me Charagh Jalte Hain
Aana Jaana Mere Husain Ka Hai

ye jo kaba he tuman samjoge
Ghar purana mere hussain ka hain

boli zehra ae ask mujko do
ye khajana mere hussain ka hain

tum jise aasama samjate ho
samiyana mere hussain ka hain

roj palhata hu surhe rehman
ae tarana mere hussain ka hain

Read Full Lyrics Har Zamana Mere Husain Ka Hai Lyrics​

Lay Chal Hawa Karbala Lyrics

Hussain Hussain

Karbala Say Anay Janay Wali Ay Hawa
Tujh Mein Bas Gai Hai Boo E Arz E Karbala
Subh O Sham Kar Raha Hun Main Yeh Iltija
Mujh Ko Bhi Ly Chal Ay Hawa
Karbala

Karbala Karbala Karbala

Muddaton Sy Ro Rahy Hain Nain
Dekh Lun Main Roza E Hussain
Choom Lun Main Arz E Karbala
Bey Qaraar Dill Ko Aye Chain
Dill Yeh Be Qaraar Hai
Ankh Ashk Baar Hai
Abbas Dy Mujhy Sada
Karbala

Karbala Karbala Karbala

Seh Chuka Hun Tang Dastian
Zindagi Ki Sari Sakhtian
Mainy Zayeeri Ki Shaoq Mein
Khai Hain Namak Say Rotian
Ab Yeh Din Dikha Mujhay
Rozay Py Bula Mujhay
Poora Ho Khawab Ab Mera
Karbala

Karbala Karbala Karbala

Mujh Ko Bhi Ly Chal Ay Hawa
Karbala

Karbala Karbala Karbala

Kitnay Aisay Log Hain Milay
Jo Kabhi Na Karbala Gaye
Atay Jatay Qafilon Ko Woh
Bey Basi Say Dekhtay Rahay
Zayeeron Mein Ho Shumar
Sab Hussaini Pursadaar
Aisi Koi Rasta Bana
Karbala

Karbala Karbala Karbala

Read Full Lyrics Lay Chal Hawa Karbala Lyrics​

Noor E Nazar Ki Lash Lyrics

Haye Ghareeb E Zehra

Ek Shakhs Ka Jawan Pisar Qatal Hogaya
Har Baap Ki Tarah Say Woh Sadma Na Seh Saka
Rotay Huye Hussain Ky Rozay Ka Rukh Kiya
Kehnay Laga Keh Mujh Mein Nahi Itna Hosla

Maula Batayen Farz Nibhatay Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthatay Hain Kis Tarah

Noor E Nazar Ki Lash Uthatay Hain Kis Tarah

Ankhon Ka Jo Ujala Tha Woh Laal Mar Gaya
Naazon Say Jis Ko Pala Tha Woh Laal Mar Gaya
Atthara Saal Wala Tha Woh Laal Mar Gaya
Mamta Ka Jo Hawala Tha Woh Laal Mar Gaya
Maan Ko Yeh Khabar Yeh Ja K Sunatay Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthatay Hain Kis Tarah

Maula Batayen Farz Nibhatay Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthatay Hain Kis Tarah

Betay Ki Lash Dekh Ky Khud Lash Ban Gaya
Beta Jawan Mar Gaya Zinda Rahun Main Kya
Yeh Aap Ka Jigar Hai Jo Sadman Yeh Seh Gaya
Yani Jawan Betay Ka Lasha Utha Liya
Hathon Py Apna Lasha Uthatay Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthatay Hain Kis Tarah

Laya Koi Hai Ghusl Ko Laya Kafan Koi
Betay Ki Lash Mujh Ko Salamat Hi Mil Gai
Tooti Hui Jigar Mein Nahi Naizay Ki Ani
Ghorhon Ky Dorhny Sy To Pamal Na Hui
Ankhon Say Khoon Dill Ka Bahatay Hain Kis Tarah
Noor E Nazar Ki Lash Uthatay Hain Kis Tarah

Read Full Lyrics Noor E Nazar Ki Lash Lyrics​

Shahzadah Ali Akbar Lyrics

Din Ro Ky Guzarta Hai Aur Raat Bhi Matam Mein
Jazbat Likhay Saray Sughra Ny Tery Gham Mein
Khat Aaya Hai Sughra Ka Karti Hai Behan Noha
Han Tery Liye Bhaiya Ghar Ho Gaya Veeran

Shahzadah Ali Akbar Shahzadah Ali Akbar Sughra Ky Dill O Jaan

Is Ghar Mein Umeedon Ky Jaltay Hain Diye Bhaiya
Kiun Karbobala Ja Ky Tum Bhool Gaye Waada
Ghar Laot Ky Aa Jao
Ab Aur Na Tarhpao
Sughra Py Taras Khao
Main Tum Py Hun Qurban

Shahzadah E Ali Akbar Shahzadah E Ali Akbar Sughra K Dill O Jaan

Behnon Ka Sahara To Hoty Hain Sada Bhai
Behnon Ki Nigahon Mein Rehty Hain Sada Bhai
Ankhon Mein Tera Chehra
Phirta Hai Meray Bhaiya
Khali Hai Tera Hujra
Behna Hai Pareshan

Shahzadah E Ali Akbar Shahzadah E Ali Akbar Sughra K Dil O Jaan

Yeh Socha Tha Sughra Nay Dulhan Teri Laun Gi
Main Neeg Bhi Mangun Gi Mehndi Bhi Lagaun Gi
Tu Laot Ky Na Aya
Dill Toot Gya Mera
Phir Khak Huye Bhaiya
Is Dill Ky Sab Armaan

Shahzadah Ali Akbar Shahzadah Ali Akbar Sughra Ky Dil O Jan

Ek Sal Hua Bhaiya Chehra Na Tera Daikha
Is Baat Py Roti Hun Sehra Na Tera Daikha
Dulhan Jo Kabhi Lana
Mujh Ko Bhi Bula Lena
Tum Bhool Nahi Jana
Rakh Lena Mera Maan

Shahzadah Ali Akbar Shahzadah Ali Akbar Sughra K Dil O Jaan

Read Full Lyrics Shahzadah Ali Akbar Lyrics​

Kaisay Main Sham Jaongi Baba Lyrics

Binte Ali Ka Hai Noha
Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Pas E Gardan Rasan Bandhi Baba
Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Mainy Sooraj Na Umar Bhar Dekha
Ab To Dekhun Gi Har Gali Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Bazoo Choomay Jo Tum Nay Ghazi Kay
Main To Us Din Hi Mar Gai Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Atthara Baradar Thay Meray
Aur Aaj Hun Main Bey Chadar
Main Sharm O Haya Ki Malka Hun
Hanstay Hain Sitam Gar Mujh Par

Darbar Mein Kaisay Jaon Gi Haye
Yeh Soch Ky Main Roti Hun


Ay Kash Mujhay Maot Aa Jaye
Karti Hun Duayen Ro Kar


Main Kahan Koofa Aur Sham Kahan
Kya Main Nazon Ki Na Pali Baba

Kaisay Main Shaam Jaun Gi Baba

Jaisay Haq Apna Maan Nay Manga Tha
Waisay Chadar Main Mangun Gi Baba

Kaisay Main Shaam Jaun Gi Baba

Ab Woh Bibi Chalay Gi Kaanton Par
Jo Na Paidal Kabhi Chali Baba

Kaisay Main Shaam Jaun Gi Baba

Noha Zaamin Yeh Karti Thiin Bibi
Zakhm Kitnay Uthaun Gi Baba

Kaise Main Sham Jaungi Baba

Boliin Bibi Yeh Mazhar o Farhan
Dill Ki Zaamin Hun Aaj Bhi Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba

FAQs

Ji haan, Farhan Ali Waris ke nohao ko logon ne bohat pasand kiya hai. Unki awaz ka husn aur nohao ke lyrics ka qabil-e-tareef hona logon ko unki taraf rujoo karwata hai.

 Farhan Ali Waris ke nohao ka aalaqa Muharram ke mahine se juda hota hai. Unhone Imam Hussain (AS) aur Karbala ke maqsad ko yaad rakhne ke liye apni awaz aur noha khwani ka sahara liya hai.

Farhan Ali Waris ke nohao ka maqsad Imam Hussain (AS) ki shahadat ko yaad rakhna, azadari ke roshan pehlu ko pesh karna, aur mohabbat-e-Ahlebait (AS) ko jahan tak pohanchana hota hai.

Ji haan, Farhan Ali Waris ke nohao ke lyrics bohat asani se samajhne aur yaad rakhne ke layak hote hain.

Farhan Ali Waris ke nohao mein shokh, ishq-e-Ahlebait (AS), aur mohabbat-e-Imam Hussain (AS) ke jazbaat hote hain.

Sharing Is Caring:

Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.

Leave a Comment