Assalamu Alaikum Nazreen ! aapko ba khub hi malum hai ke Ramzan ka chand dekhne ki dua parhkar Allah Ta’ala ki bargah mein haath utha kar jo bhi dua maanga jaata hai wo duaen rad nahi hota balki qubool hota hai. To hum ye mauqa haat se kyu jane de.
Jab Ramzan ka chand dikh jaye, toh agle din se roza shuru ho jaata hai. Agar chand nazar na aaye, toh agle din dobara dekhein. Is saal Ramzan 12 tarikh se shuru ho raha hai aur chand ek din pehle nazar aayega, inshaAllah.
Iss post mein hum aapko Ramzan ka chand dekhne ki dua, uski ahmiyat aur fazilat ke baare mein batayenge. Saath hi, dua ka Hindi, Urdu aur English tarjuma bhi share karenge. Is post ko zarur padhein aur is khaas din ka poora faida uthayein!
Table of Contents
Overview
Ramzan ke aaghaze par jab pehla chand nazar aata hai, to musalman bhai behen ek dusre ko “Ramzan Chand Mubarak” keh kar mubarakbaad dete hain aur Ramazan ka chand dekhne ki dua padhte hain.
Ye chand is raat ka signal hota hai ke Ramzan ka paak mahina shuru ho gaya hai. Ye mahina roza rakhne, ibadat karne aur Allah ke kareeb hone ka hai.
Is waqt log Allah se maafi mangte hain aur apni zindagi sudharne ki koshish karte hain. Roza insaan ke jism aur rooh dono ko paak banata hai.
Chand dekh kar log khush hote hain, gharo mein dua maangi jati hai aur mithaiyan baanti jati hain. Dosto aur rishtedaar ko mubarakbaad di jati hai, aur ye sab milkar is khaas mahine ka aaghaz karte hain.
Ramzan Ka Chand Dekhne Ki Dua
Ramzan Ka Chand Dekhne Ki Dua In HIndi
रमज़ान का चाँद देखने की दुआ हिंदी में “अल्लाहुम्मा अहिल लहू अलैना बिल अमनि वल इमानि वस सलामति वल इस्लामि वत तौफीकि लिमा तुहिब्बु व तरज़ा रब्बी व रब्बुकल लाह।”
तर्जुमा – ए अल्लाह ! हम पर इस चाँद को अम्नो ईमान, सलामती और इस्लाम और उस चीज़ की तौफ़ीक़ के साथ तुलु फरमा फरमा जो आप पसंद करते हैं और जिसमें आपकी रिज़ा है (ए चाँद) मेरा और तेरा रब अल्लाह है।
Ramzan Ka Chand Dekhne Ki Dua In Roman English
Ye dua parhe – Allahumma ahillahu alaina bil amni wal imani was salamati wal islam wa taufiqi lima tuhibbu wa tarda rabbi wa rabbukal lah.
Dua ka Roman English mein tarjuma:
Tarjuma – Ya Allah! Hamein is chaand ko amno iman, salamati, aur Islam aur us cheez ki taufiq ke saath tulu farma farma jo aap pasand karte hain aur jismein aapki riza hai (ya chaand) mera aur tera rab Allah hai.
Ramzan Ka Chand Dekhne Ki Dua In Arabic
Ramzan ka Chand Dekhne ki Ahmiyat
Ramzan ke mahine mein chand nazar aane par dua karna bahut zaroori hai. Jab chaand nazar aata hai, toh musalman dua maangte hain.
“Allah ta’ala humein is mahine ke ibaadat aur roze ko pura karne ki taufeeq ata farmaaye aur uske fazail hasil karne ki taufeeq de.”
Is dua se Allah ta’ala se madad maangi jaati hai ke wo hume roza mein barkat ata kare aur gunahon se bachaye.
Roza rakhna toh mushkil hota hai lekin is dua ki wajah se Allah ta’ala humein hosla aur quwwat deta hai is ibaadat ko pura karne ki.
Is dua se rozedaar ka dil aur dimaag paak hota hai aur wo apni zindagi ko behtar banate hain. Isliye roza shuru hone se pehle chand ki dua karna bohot zaroori aur mufeed hai.
Read Also:-
Chaand Dekhne Ki Dua Ka Fazilat
Chaand dekhne ki dua parhne ka amal bahut afzal hai. Yeh dua Allah Ta’ala ke kareeb hone ka zariya hai, aur Ramzan ke chand ki dua ki khaas ahmiyat hai.
Is dua ke zariye, musalman apni ibadat ka aagaaz adab aur khuloos ke saath karte hain. Chaand ki dua padhne se dil mein taqwa aur iman barhta hai.
Isliye, is dua ki ahmiyat ko samajhna aur isse apni zindagi ka hissa banana faydemand hai.
Hadith About Ramzan Ka Chand Dekhne Ki Dua
Ibn Umar ne riwayat kiya: Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmate hue suna,
Narrated Ibn Umar: I heard Allah's Apostle saying, "When you see the crescent (of the month of Ramadan), start fasting, and when you see the crescent (of the month of Shawwal), stop fasting; and if the sky is overcast (and you can't see It) then regard the crescent (month) of Ramadan (as of 30 days)".
Sources:- Sahih al-Bukhari 1900
Video of Chand Dekhne Ki Dua
FAQs
Ramzan ka chand dekhne ki dua yeh hai: "اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ وَالإِسْلَامِ، رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ"
Ramzan ka chand dekhne ki dua ko har saal Ramzan ke chand ko dekhne se pehle parha jata hai.
Chand dekhne ki dua parhne ka maqsad hai ke Musalmano ko Ramzan ke mahine ka aghaz waqt pehchanne aur is ibadat bhari mahine ke liye taiyar hona.
Agar chand nazar na aaye to 30 rozay poray karne par chand nahi dekhna chahiye aur 31va din roza rakha jaye.