Ali ke sath hai zehra ki shadi lyrics In Urdu, Hindi & English
Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen “Ali ke sath hai Zehra ki shadi lyrics” ek Noha hai jo Imam Ali (A.S.) aur unki biwi Hazrat Fatima Zahra (S.A.) ki shaadi ki mubarakbaad ke mauqe par likha gaya hai.
Is Noha Lyrics mein unki shaadi ki khushiyan aur Ali (A.S.) aur Zehra (S.A.) ke pyaar ka izhaar kia hai. Is Nohe mein Ali (A.S.) aur Zehra (S.A.) ke mukhalifon se bhi ishq-o-mohabbat ke taane aur jawaabat bayan kiye gaye hain.
“Ali ke sath hai Zehra ki shadi lyrics” shia muslims mein bahut mashoor hai aur baqaida aur zinda dil logo ki tarah iska mukhtalif version milna aam baat hai.
Ali ke sath hai zehra ki shadi lyrics In English
Sabhi khush hain Sabhi khush hain khudaayi bhi khuda bhi Ali ke saath hai zehra ki shaadi
Larka hai khuda ke ghar ka larki hai nabi ke ghar ki Wo arz o samaan ka maalik ye malika behr o bar ki Zameen raksa hai raksa aasmaan bhi
Haidar hai kulle imaan aur kulle ismat zehra Us sar pe wafa ka sehra is sar pe haya ka sehra Wo shehzaada hai aur ye shaahzaadi
Dulha ke roop me pyaare ali ibne taalib hain Tha baap bhi sab se ghaalib ye bhi kulle ghaalib hai Ye daamaade nabi hai aur wo sambdhi
Baaraat chali haidar ki rehmat ke saaye saaye Baaraat ke aage aage qur’aan qaside gaaye Nabi saare chale ban kar baraati
Tohfe me mile mehk aise inhein jannat aur kawsar ko Ye saara namak aur paani haq mehr mila zehra ko Salaami me mili marzi khuda ki
Qudrat ki taraf se inko abhi tohfe aur milenge Kal inke haseen aangan me do asli phul khilenge Haseen shajarein jinhein denge salaami
Ab chaahe koyi bharke ab chaahe koyi tarpe Ab meri bhalaa se chaahe mar jaaye koyi jal jal ke Khushi ki baat thi maine sunaadi
Kaise ho bayaan wo manzar jab khatm huwi sab rasmein Kaunein ki har sheh gauhar kehti thi kha kar qasmein Mubaarak hai mubaarak hai ye shaadi
Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.
Govandi, Maharashtra, India 400043