Ghabrahat Ki Dua: Dil Ki Bechaini Se Nijat Pane Ka Wazifa

ghabrahat ki dua

Table of Contents

Overview

Assalamu Alaikum Nazreen ! aaj hum aapko batane wale hai ki “Ghabrahat Ki Dua” ghabrahat aur pareshani se nijat hasil karne ke maqsad se mangi jati hai.

Jab insan ke dil me  bechaini aur ghabrahat ka ehsaas mehsoos hota hai, toh is dua se Allah ki madad aur sukoon ki talab ki jati hai.

Ghabrahat insani zehan aur jazbaat par asar andaz hoti hai aur iska asar jism aur roohani sehat par bhi hota hai.

“Ghabrahat Ki Dua” padhne se insan apni pareshaniyon ko Allah ki panah me rakhta hai aur sukoon aur dil ki bechaini se nijat talab karta hai.

Is dua ka maqsad Allah se madad aur hidayat talab karna hai, taa ke dil ki ghabrahat door ho aur sukoon hasil ho. Aur sath hi sath hum aapko ye bhi batane wale hai Iss Dua ko kab aur kaise padhna hai.

Dil Ki Ghabrahat Ki Dua

Dil Ki Ghabrahat Ki Dua In Arabic

أَلَا بِذِكْرِ ٱللَّهِ تَطْمَئِنُّ ٱلْقُلُوبُ

Dil Ki Ghabrahat Ki Dua In Roman English

Alaa bizikril laahi tatma’innul Quloob

Dil Ki Ghabrahat Ki Dua In Hindi

अला बिजिक्रिल-लाही ततमा-इन्नुल कुलूब

Tarjuma :- “Allah ke zikr se dilon ko itmeeaan milta hai.”

Source :-SURAH AR-RA’D AYAT 28

Dil Ki Ghabrahat Ki Dua​

Ghabrahat ki dua padhne ka tarika

Nazreen ! yaha pe ye samjhna bahoot zaroori hai ki is dua ko padhne ka koi fix tarika nahi hai.  lekin ye hai ki ye dua padhne ka behtar tarika niche diye gaye points me bayan ki gayi hai.

Ghabrahat ki dua padhne ka tarika kuch is tarah hai:

  1. Wazu kare: Pehle wazu kar len, jisse tazgi aur paakpan hasil ho.

  2. Allah  ta’ala ki taraf niyat kare: Dil mein pakka irada karein ke ghabrahat ki dua padhne ka maqsad Allah ki raza hasil karna hai.

  3. Ghabrahat ki dua padhe: “(أَلَا بِذِكْرِ ٱللَّهِ تَطْمَئِنُّ ٱلْقُلُوبُ Alaa bizikril laahi tatma’innul Quloob)”

  4. Tasawwur karein: Dua padhte waqt, dil aur dimag se ghabrahat aur pareshani ko dur karne ke liye, Allah ki panah aur madad ki tasawwur karein.

  5. Imaan aur yaqeen ke sath padhen: Dua padhne ke waqt poore imaandari aur yaqeen ke sath padhein, ke Allah aapki ghabrahat ko door karenge aur sukoon denge.

  6. Dua ke badle shukr ada karein: Dua padhne ke baad Allah ka shukr ada karein, unki bounties aur rahmaton ka hamesha hamesha hamesha shukr guzar rahein.

Ye tarika ghabrahat ki dua padhne ka aam tarika hai. Aap ise apne maqsad aur halaat ke mutabik Padh sakte hain. Allah ki raza aur hidayat talab karke dua padhne se ghabrahat ki kami aur sukoon milta hai.

Note :-  Ye dua namaz ke ba’ad apna daya haath seene(qalb or dil) par rakh kar 11 martaba padh sakte hai.

Dil ki Bechaini ki Dua

Dil ki Bechaini ki Dua In Arabic

فَتَعَالَى اللَّهُ الْمَلِكُ الْحَقُّ ۖ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ

Dil ki Bechaini ki Dua In Roman English

“Fat’ala Allahul Malikul Haqqu La ilaha illa Huwa Rabbul ‘Arshi Al-Qareemi”

Dil ki Bechaini ki Dua In Hindi

फ़ताआला अल्लाहु अलमालिकु अलहक़्क़ु ला इलाहा इल्ला हुवा रब्बू अलअर्शी अलक़रीमी

Tarjuma: Us Mukaddas Badshah ki paaki bayan karta hun jo farishton aur rooh ka Rab hai, uski izzat-o-zabarut se zameen aur aasman raushan hai.

Source :- Quran 23:116

Dil ki Bechaini ki Dua

Kuch Bechaini/Ghabrahat ki dua hadith ke Mutabiq

Dua No. 1

In Arabic :- اللَّهُ اللَّهُ رَبِّي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئاً

In Roman English :-  Allahu! Allahu! Rabbi la ushriku bihi shay’aaa

Tarjuma :- “Allah, Allah mera Rab hai, Main uske saath kisi cheez ko shareek nahi karta.” 

Source :- Sunan Abi Dawud 1525

BechainiGhabrahat ki dua hadith ke Mutabiq

Dua No. 2

In Arabic :- اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو، فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي
طَرْفَةَ عَيْنٍ، وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

In Roman English :- Allahumma rahmataka arjoo fala takilnee ila nafsee tarfata AAayn, wa-aslih lee sha’nee kullah, la ilaha illa ant.

Tarjuma :- Ai Allah! Main teri rahmat ki umeed rakhta hoon, Is liye tu mujhe palak jhapkne ke barabar bhi Mere nafs (soul) ke hawale na kar aur Mere liye mere tamam kaam theek kar de. Tere siwa koi ibadat ke layak nahi.

Source :- Sunan Abi Dawud 5090

BechainiGhabrahat ki dua hadith ke Mutabiq (2)

Dua No. 3

In Arabic :- لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ ، وَرَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ .

In Roman English :-  La ilaha illal-lahul-AAatheemul-haleem, la ilaha illal-lahu rabbul AAarshil-AAatheem, la ilaha illal-lahu rabbus-samawati warabbul-ardi warabbul-AAarshil-kareem.

Tarjuma :- Allah ke siwa koi ma’bud nahi, jo bohat azmat wala hai aur bard-bar hai, Allah ke siwa koi ma’bud nahi, jo aasmano aur zameen ka Rab aur bade bhari arsh ka Rab hai

Source :- Sahih Bukhari Hadith No 6345

Bechaini/Ghabrahat ki dua hadith ke Mutabiq (3)

Ghabrahat ki dua ki video

Conclusion (Ikhtitam)

Ye Dua insan ke dil aur dimag me pareshani se nijat ki talab me madadgar sabit hota hai.Allah ki panah aur madad ki dua padhne se ghabrahat kam aur sukoon hasil karne ka ehsaas hota hai.

Dua padhne ke liye niyyat, imaandari aur yaqeen ke saath padhna zaroori hai. Is dua ka maqsad Allah se hidayat, rahmat aur sukoon ki talab karna hai. Ghabrahat Ki Dua padhne se insan apni pareshaniyon ko Allah ki hifazat aur madad mein chhodta hai.

Yah amal uski rohaniyat ko taqwiyat deta hai aur zehni bechaini se nijat dilata hai. Allah ki raza aur hidayat talab karke ghabrahat ki dua padhne se sukoon aur itminaan milti  hai.

Inhi bato par mai apne likhai ko khatam kar raha hoon. Insha Allah phir milenge agle article me.

FAQs

ghabrahat hone par ye dua pade, "Alaa bizikril laahi tatma’innul Quloob" aur baqi iski tafseel is article me mil jayegi.

Dar lage to ye dua padhe, "Allahumma rahmataka arjoo fala takilnee ila nafsee tarfata AAayn, wa-aslih lee sha'nee kullah, la ilaha illa ant." aur baqi iski tafseel isi article me mil jayegi.

"Surah Al Rahman" dipression ke liye sabse achha surah hai.

Iske kuch wazaif aur dua hai. jis dua ko padhkar aap apni chinta ko dur kar sakte hai.

Ji, Haan ! bilkul quran aisi kitab hai jo har cheez me madad karta hai. chinta ke liye aap isi article ko pura padh kar jankari haseel kar sakte hai.

Sharing Is Caring:

Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.

Leave a Comment