Ghar Se Nikalne Ki Dua In English, Hindi & Urdu 2024
Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Readers, Jaisa ki aap logo ko maloom hi hoga ki Nabi (SAW) ke sunnato me se ye ek sunnat hai “Ghar Se Nikalne Ki Dua” hai.
Jab bhi hum apne ghar se bahar nikalte hain, humein Allah ka naam lekar aur dua ke sath nikalna chahiye. Yeh sirf ek sunnat nahi, balki ek ahem amal hai jo humein har qisam ke nuqsan, mushkilat aur shaitani asraat se bachaata hai.
Ye dua parh kar hum Allah se hifazat aur barakat ki dua karte hain. Isiliye hame chahiye ki hum jab bhi ghar se bahar nikle to ye dua padhle. Agar aapko ye arabic me nahi aati to hum iss article me ghar se bahar nikalne ki dua in English, Hindi, & Arabic/Urdu me bhi provide karenge.
Ghar Se Nikalne Ki Dua In English
Bismillahi Ta Wakkalatoo Alallahi Wa La Hau La Kuwwata ila Billah
Ghar Se Nikalne Ki Dua In Hindi
बिस्मिल्लाही त वक्कलतु अलल्लाही व ला हौ ल वला कुव्वता इला बिल्लाह
In Hindi:-मैं अल्लाह के नाम लेकर निकला मैंने अल्लाह पर भरोसा किया गुनाहों से बाज रहने और इबादत नेकी करने की ताकत अल्लाह ही की तरफ़ से है।
In English:- “In the name of Allah Almighty (I comeout of my house) I trust Allah Almighty, there is no capability of saving oneself from sins and neither is there capability to do good deeds but from Allah Almighty.”
In Urdu:-“اللہ عزوجل کے نام سے (گھر سے نکلتا ہوں) میں نے اللہ عزوجل پر بھروسہ کیا اللہ عزوجل کے بغیر نہ طاقت ہے (گناہوں سے بچنےکی) اور نہ وقت ہے (نیکیاں کرنے کی)۔”
Ghar Se Nikalte Waqt Ki Dua Ki Ahmiyat
Anas bin Malik (RA) se riwayat hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: Jo shakhs apne ghar se nikalte waqt kahe:
“Bismillāh, tawakkaltu `alallāh, lā ḥawla wa lā quwwata illā billāh”.
(Allah ke naam ke sath, main Allah par bharosa karta hoon, aur koi quwwat nahi magar Allah se) to usay kaha jata hai: ‘Tumhare liye kafi hai, tumhein mehfooz rakha gaya,’ aur Shaitaan us se door ho jata hai. (Tirmidhi)Jami` at-Tirmidhi 3426
Hazrat Muhammad ﷺ ne hamesha apne ummatiyon ko har amal mein Allah ka naam lene aur dua parhne ka tareeqa sikhaya hai.
Jab hum ghar se nikalte hain, to humein bhi is sunnat ko apnana chahiye. Yeh chhoti si dua humein har waqt yaad dilati hai ke har kaam mein sirf Allah ki madad aur hifazat ka mohtaj hai.
Ghar Se Nikalte Waqt Ki Dua Video
Conclusion
“Ghar se nikalne ki dua” sirf lafzon ka majmooa nahi, balki ek dil se mangi gayi dua hai jo humein Allah ke qareeb laati hai.
Har dafa ghar se nikalte waqt is dua ko parhna apni aadat banae aur Allah se barakat aur hifazat talb karein aur agar aapko iss article padhne se kuch fayda huwa ho to iss article ko apne family share jaroor kare.
FAQs
Is dua ko parhne ka faida kya hai?
Is dua ko parhne se Allah hifazat farmaata hai, Shaitaan door hota hai, aur Allah par tawakkul ka izhaar hota hai.
Kya yeh dua Quran ya Hadith se sabit hai?
Jee, yeh dua Hadith me sabit hai. Rasool Allah (ﷺ) ne is dua ko parhne ka hukm diya aur uske faiday bayan kiye.
Hadith referece upar di gayi hai.
Sharing Is Caring:
Muhammad Sid
Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.