Har Waqt Tasawwur Mein Naat Lyrics In Urdu, Hindi & English 2023
Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen ! “Har Waqt Tasawwur Mein Naat Lyrics” ek mashhoor naat hai jo Hazrat Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) aur Madina Munawwara ke husn-o-jamaal ki tareef mein likhi gayi hai.
Is naat lyrics mein Madina Sharif ke manzar, unke husn, aur unki fazilat ko bayan kiya gaya hai. Yeh naat sun kar log apne dilon mein Madina Sharif ki pyaari yaadon ko taza karte hain.
Is naat ki maholat, Madina Sharif ki khoobsurati, aur Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) ki muhabbat ka izhar karti hain. Naat goya ke Madina Sharif ki ziyarat karne ka maqsad hai aur log iske zariye apne Nabi ki tareef aur muhabbat ko izhar karte hain.
Har Waqt Tasawwur Mein Naat Lyrics In English
Har waqt Tasaw’wur mein Madine ki gali ho Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho
Do soz Bilaal Aqa mile dard Raza sa Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho
Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho
Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina Ai kaash! muqaddar se mayas’sar woh ghadi ho
Jab aaon Madine me to har chaak girebaan Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho
Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho
Jab leke chalo gharibaan ko janazah Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho
Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho
ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho
AQA ka gada hoon ai jahan’nam tu bhi sunle Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho
Sadqa mere murshid ka karoon door balaein Pura mera Sarkaar har armaan dili ho
Allah ki rehmat se to jannat hi milegi Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho
Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho
Attar hamara hai saray hashr ai kaash! Daste Shaha batha se yehi chit’thi mili ho
Har Waqt Tasawwur Mein Lyrics In Hindi
हर वक़्त तसव्वुर में मदीने की गली हो और याद मुहम्मद की मेरे दिल में बसी हो
ए काश ! तसव्वुर में मदीने की गली हो और याद-ए-मुहम्मद भी मेरे दिल में बसी हो
दो सोज़-ए-बिलाल, आक़ा ! मिले दर्द रज़ा सा सरकार ! ‘अता ‘इश्क़-ए-उवैस-ए-क़रनी हो
ए काश ! मैं बन जाऊँ मदीने के मुसाफ़िर फिर रोती हुई तयबा को बारात चली हो
ए काश ! मदीने में मुझे मौत यूँ आए चौखट पे तेरी सर हो, मेरी रूह चली हो
जब ले के चलो गोर-ए-ग़रीबाँ को जनाज़ा कुछ ख़ाक मदीने की मेरे मुँह पे सजी हो
जिस वक़्त नकीरैन मेरी क़ब्र में आएँ उस वक़्त मेरे लब पे सजी ना’त-ए-नबी हो
आक़ा का गदा हूँ, ए जहन्नम ! तू भी सुन ले वो कैसे जले जो कि ग़ुलाम-ए-मदनी हो
आक़ा की शफ़ा’अत से तो जन्नत ही मिलेगी ए काश ! कि क़दमों में जगह उन के मिली हो
अल्लाह की रहमत से तो जन्नत ही मिलेगी ए काश ! महल्ले में जगह उन के मिली हो
अल्लाह करम ऐसा करे तुझ पे जहाँ में ए दा’वत-ए-इस्लामी ! तेरी धूम मची हो
‘अत्तार हमारा है, सर-ए-हश्र इसे, काश ! दस्त-ए-शह-ए-बतहा से यही चिठ्ठी मिली हो
Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.
Govandi, Maharashtra, India 400043