Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen ! “Imam E Zamana Manqabat Lyrics In English” mein aik manqabat shair ki tarah hoti hai jo Imam Mahdi (a.s) ke hawale se likhi gayi hoti hai.
Yeh manqabat unki aamad (arrival) aur unke wojood ke aane par likhi jati hai. Ismein Imam E Zamana (a.s) ke fazilat aur unke aane wale zamane ki tayyari ko bayan kiya jata hai.
Ye manqabat Shia Muslimon ke liye aik ahem aghaz (beginning) hai jisse woh Imam Mahdi (a.s) ke zaahir hone ke liye tayyar rehte hain. Ismein imaan aur intezar ki azmat ko izhar kiya jata hai.
5 Best Imam E Zamana Manqabat Lyrics In English
- Imam E Zamana Lyrics By Farhan Ali Waris
- Kab Aaoge Mola Lyrics By Mesum Abbas
- Suno Baad E Zahoor Kiya Hoga Lyrics
- Woh Aa Raha Hai Manqabat Lyrics
- Chale Aao Aye Ibne Mushkil Kusha Lyrics
Imam E Zamana Lyrics By Farhan Ali Waris
Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana
Haseen Manzar Woh Kab Dikhy Ga Khuda Ky Ghar Py Alam Ka Saya
Namaz Parhwayen Gy Jo Mola To Peechy Saf Mein Milen Gy Eesa
Haram Mein Majlis Bapa Karen Gy Parhen Gy Noha Imam E Zamana
Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana
Bahut Hi Chota Sa Ghar Hai Mera Par Is Mein Hujra Hai Aik Tera
Sharaf Yeh Mery Liye Barha Hai Tu Mujh Sy Kar Ly Yeh Aik Wada
Bas Aik Shab Ko Tu Merey Ghar Mein Qayam Karna Imam E Zamana
Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana
Misal E Kaaba Yeh Dill Hai Mera Hai Is Mein Mola Tera Basaira
Sada E Dharhkan Mera Areeza Bhala Main Kaghaz Py Ab Likhun Kya
Jo Dharhkanon Ki Sada Suny Ga To Jan Ly Ga Imam E Zamana
Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana
Safar Tha Paidal Jab Arbaeen Ka Main Har Jaga Tujh Ko Dhundta Tha
Tu Zayeeron Mein Tu Ashiqon Mein Ay Mery Maola Kahin To Ho Ga
Yeh Soch Kar Hi Main Sab Ky Qadmon Ko Choomta Tha Imam E Zamana
Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana
Kitab E Haq Sy Yeh Mainy Jana Har Aik Shey Ko Fana Hai Mola
Laga Hua Hai Qaza Ka Pehra Nahi Hai Sanson Ka Ab Bharosa
Jo Band Ho Jayen Meri Ankhen Mujhy Jagana Imam E Zamana
Utha Ky Parda Dikha Do Jalwa Ay Ibne Zahra Imam E Zamana
Tujhy Tasawwur Mein Jab Bhi Dekha Ali Ky Jaisa Tera Hasham Tha
Thi Tery Qabzy Mein Taigh E Haider Alam Hai Kandhy Py Bawafa Ka
Misaal E Dul Dul Sawar Andaz E Faatihaana Imam E Zamana
Read & Download Full Lyrics :-Â Imam E Zamana Lyrics By Farhan Ali Waris
Kab Aaoge Mola Lyrics By Mesum Abbas
Ya Mahdi Madadi
Ya Mahdi Madadi
Al Ajal Al Ajal Al Ajal
Hawaye Karam Kab Chalao Ge Mola
Diye Zulm Ky Kab Bujhao Gemola
Yeh Ghaibat Kahan Tak Barhao Gy Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Judai Mein Kab Tak Rulao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Hui Aik Muddat Sitam Sehty Sehty
Zuban Thak Chuki Al Ajal Kehty Kehty
Hamen Kab Ghamon Sy Churhao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Areezon Ko Kab Tak Waseela Banayen
Tumhen Haal E Dill Samny Ab Sunayen
Kab In Faslon Ko Mitao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Wilayat Ko Zakhmi Kiye Ja Rahy Hain
Sab Ek Doosry Sy Larhy Ja Rahy Hain
Kab Apas Mein In Ko Milao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Zahoor Aap Ka Ho Ga Kis Roz Janen
Duaye Faraj Hai Labon Par Hamary
Asar Kab Duaon Mein Lao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Yeh Dill Misl E Hurr Hai Pareeshan Hamara
Hussain Aap Ban Kar Batao Khudara
Galy Sy Hamen Kab Lagao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Hai Halat Bhi Ab Misl E Yaqoob Dekho
Hamari Umeedon Ky Yousuf Tum Hi Ho
Taras Kab In Ankhon Py Khao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Baqaiyya Mein Kab Tak Andhera Rahy Ga
Dill E Fatima Ko Sukoon Kab Mily Ga
Diya Qabr Py Kab Jalao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Kab Apni Ziarat Karao Gy Mola
Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola
Read & Download Full Lyrics :- Kab Aaoge Mola LyricsÂ
Suno Baad E Zahoor Kiya Hoga Lyrics
Al ajal Al ajal ya sahib zaman
Al aman Al aman, Jab Imam Ayengaye
Haal hum sunaige ,Jab Imam Ayengaye
Bam-o-dar sajaienge,Jab Imam Ayengaye
Zakhm dil dhikaye ge,jab imam ainge
Mehfilein jamainge,jab imam ainge
Jashan hum manainge,jab imam ainge
Jo mushkilein hai to mushkil khusha bhi hai koi
Hazar gham hain to gham ki dawa bhi hai koi
Jo qaflay mai rawan,rehnuma bhi hai koi
Khuda agar hai to phir na khuda bhi hai koi
Hai dard-e-dil to koi dil ka chain bhi hoga
Yazeed lakhon mai koi Hussain bhi hoga
Abhi to khoon kay darya bahaye jainge
Abhi to zulm kay dhabe mitaye jainge
Sitam garon ka parakche uthai jainge
Abhi to qabar se murde uthai jainge
Sawal kar chuke Zehra jawab lena hai
Fidak ka Mehdi nay akar hisab lena hai
Abhi bhi ishq tarapta hai qatal ghahon mai
Abhi hayat hai qaidi ajal ki bahon mai
Abhi andhera hai insan ki nigahon mai
Abhi to qafla zindagi hai rahon mai
Ali ka sher abhi sabar ki kachar mai hai
Zamana apnay Mohammad kay intezar mai hai
Yeh keh rahi hai gham-o-ranj ki farawani
Khabar ye deti hai aql-o-kurd ki herani
Bata rahi hai yeh zulm-o-sitam ki tugyani
Barasne wala hai ab zulfiqar ka paani
Sitam ki moat ka saaman anay wala hai
Safina dhoond lo toofan anay wala hai
Manadi hogi kay adl-e-khuda mubarak ho
Jida rikhana-e-haq Murtaza mubarak ho
Madine walon naya Mustafa mubarak ho
Mera zahoor aye kherun nisa mubarak ho
Tha dil pe karb-o-bala jo baar khatam hua
Aye meri dadi tera intezar khatam hua
Hai zaat-e-haq jo pase mojizat meri hai
Shareeq qar nabuwat bhi zaat meri hai
Har ik imam ki har ik baat meri hai
Faqat fidak hee nahi kainat meri hai
Har ik shehar yeh tehreer likhta jaonga
Yeh sab hai Zehra ki jageer likhta jaonga
Uthega shor saf-e-karzar se bhago
Baras rahi hai ajal zulfiqar se bhago
Koi kahe ga nabi kay darya say bhago
Koi kahe ha nikal kar mazar say bhago
Qabai zulm-o-tashadud ko pharne walay
Phir agaya dar-e-khayber ukharne wala
Ali ki taig hai phir be niyam bhag chalo
Jaga haram mai nahi soi sham bhag chalo
Ajal ko yaad hai hum sab kay naam bhag chalo
Kay bhagna hee to hai apna kaam bhag chalo
Aman nahi hai kahin karzar hasti mai
Kichar chor kar shair agaya basti mai
Sunayi de ga yeh elaan taig Haider ka
Hisab lungi yameen-o-yasar se shar ka
Wo sar gaya jo zara sa idhar udhar sar ka
Malak bhi jaan lenge khud zimedar hai par ka
Naa jibraeel mai ko bhi kuch riayat hai
Zameen pay moat ko rukne ki bus ijazat hai
 Read & Download Full Lyrics :- Suno Baad E Zahoor Kiya Hoga Lyrics
Woh Aa Raha Hai Manqabat Lyrics
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Sab thaat para reh jaye ga jab aane wala ayega
Ye dharti sona ugle gi, ye charkh gohar barsayega
Kaabe ki chat par Ghazi ka, ek roz alam lehrayega
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Baghayr farman e Ibn e Zahra, nizaam e dunya nahi chalega
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Kahin guzarish nahi chale gi, kisi ki saazish nahi chalegi
Kare ga aa kar woh adl qayem, koi sifarish nahi chalegi
Chalayega woh Ali ka sikka, kisi ka sikka nahi chalega
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Alag na hoga koi kisi se, Namaz rozay bhi ek honge
Imam aayenge laut kar jab, har ek mu’azzin ba-ghaur sunle
Azaan ho gi Ghadeer waali, ye kam-ziyaada nahi chalega
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Anaa ke jazbon me behne waalon, hawa e mazhab me rehne waalo
Koi karega halaal tum ko, haraam maatam ko kehne waalo
Dunkaan fatwon ki band hongi, kisi ka fatwa nahi chalega
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Likha huwa he hadith me bhi, zameen nijasat se dur ho gi
Chalegi shamsheer Murtaza ki, zabaan o millat ki qayd kaysi
Ali ka munkir ho chaahe jo bhi, zameen pe zinda nahi chale ga
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Marenge sab maslehat ke aadi, kahaan pe jayenge ye fasaadi
Chhupayenge kis tarha se chehray, haram se hogi ye jab manadi
Meri hukumat me is zameen par, udu e Zahra nahi chalega
Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
 Read & Download Full Lyrics :- Woh Aa Raha Hai Manqabat Lyrics
Chale Aao Aye Ibne Mushkil Kusha Lyrics
Ya Maulana Ya Sahib az Zamaan
Al gauth, Al gauth, Al gauth
Adrikni, Adrikni, Adrikni
As-sa’ah, As-sa’ah, As-sa’ah
Al-ajal, Al-ajal, Al-ajal
Bulaate Hain RoRo Ke Ahle Aza
Chale Aao Ae Ibne Mushkil Kusha
Tumhe Haq e Zehra Ka Hai Wasta
Chale Aao Ae Ibne Mushkil Kusha
Hai phaili Jahan men ajab se waba
Ata sare Alam ko kije shifa
Waseela Hain bimare karbobala
Khuda ki shariat ka dilshad ho
Ye weeran Kaaba phir abaad ho
Lagane Alam is pe Abbas ka
Hon ham pichhe pichhe tum aage chalo
Naseeb arbaein ayk aisa bhi ho
Tumhari qayadat men ho qafila
Jise dekhiye hai parisha’n yahan
Ye waqte Karam h imame zama’n
Karo har sawali ki hajat rawa
Mera khwab bhi mahve tabeer ho
Ai Mola baqayya ki tameer ho
Labon par musalsal yahi h dua
Mareeze Mohabbat Tarapta Rahay,
Magar Tera Deedar Kar na Sake,
Bhala Aisa Jeena Bhi kis kaam ka
Hamarey amal me dikhawa na ho
Muhabbat ka bas jhoota dawa na ho
Phir ashkon ke lab khud ye denge sada
Zamane men hote huye apke
Kahen apni roodad Kyu ghair se
Meri ghairaton ki tumhi ho ana
 Read & Download Full Lyrics :- Chale Aao Aye Ibne Mushkil Kusha Lyrics
Last Word
“Imam E Zamana Manqabat Lyrics In English” ek aham manqabat hai jo Imam Mahdi (a.s) ke aane par mabni hai.
Is manqabat mein Imam E Zamana (a.s) ke zaahir hone ki aane wale zamane ki tayyari, unki fazilat, aur unke aane wale zamane ka bayan kiya gaya hai.
Yeh manqabat Shia Muslimon ke liye ek zaroori hissa hai jo unka imaan mazboot rakhte hain aur unke Imam Mahdi (a.s) ke aane ki umeed se jude hain. Ismein unka intezar aur unke aane wale Imam ke zaahir hone ki tayyari ki azmat ko izhar kiya jata hai.
Yeh manqabat unki ruhaniyat ko taqwiyat deti hai aur unhe unke aane wale Imam ke hidayat par amal karne ke liye tayyar rakhti hai.
FAQs
Ye Manqabat khaaskar un logon ke liye jo Imam Mahdi (a.s) ke zaahir hone ke aane wale zamane mein imaan aur intezar mein jude hain.Â
Imam Mahdi (a.s) ke fazail aur unke aane wale zamane ki basharat (prophecies) shamil hoti hain.
In Manqabato ko khaaskar Imam Mahdi (a.s) ke wiladat (birthday) ya yaum-e-wafat (death anniversary) jaise mukhtalif mauqon par.