Khula Hai Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat Lyrics (Read & Download)
Khula Hai Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat Lyrics In English
Khula Hai Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat Wahan Koi Rutbay Main Adna Naa Aali Muraadon Se Daamann Nahee Koi Khaali Qatarain Lagaye Kharay Hain Sawali
Mein Pehlay Pehal Jab Madinaa Gya Tha To Thi Dill Ki Halat Tadapp Janay Wali Wo Darbaar Sach Much Mere Samnay Tha Abhi Tak Tasawwur Tha Jiss Ka Khiali
Jo Ek Haath Say Dill Sanbhalay Huay Tha To Thi Doosray Haath Rozay Ki Jaali Dua Kay Liye Hath Uthte To Kaise Na Yeh Hath Khaali, Naa Woh Haath Khaali
Jo Poocha Hai Tum Nay, Kay Main Nazr Karnay Ko Kia Lay Gya Tha, Tou Tafseel Sun Lo Tha Naaton Ka Ik Haar, Ashkon Kay Moti Daroodon Ka Gajra, Salamon Ki Daali
Dhani Apni Qismat Ka Hai To Wohi Hai Dayar E Nabi ﷺ Jiss Nay Aankhon Se Dekha Muqaddar Hai Sacha Muqaddar Ussi Ka Nigaah E Karam Jiss Pe Aaqa ﷺ Nay Daali
Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.
Govandi, Maharashtra, India 400043