Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen ! “Naat Lyrics In English” aap hazraat ko to malum hi hoga ki Naat ka matlab Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki taareef aur hamd ke liye parhe jaate hain.
Aur Naat Lyrics me Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zindagi, shakhsiyat aur unke paigham se wabasta hisse shamil hote hain. To aapke janib pesh karte hai 5 Best Naat Lyrics In English.
Note:- Aur Naat Lyrics, Noha Lyrics, Hadith padhne ke liye Islamwala.com ko follow Kijiye.
5 Best Naat Lyrics In English
- Meri Ulfat Madine se yunhi nahi LyricsÂ
- Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics
- Aey Rasool-E-Ameen Khatm-Al-Mursalin Lyrics
- Hamne aankho se dekha nahi hai magar lyrics
- Nate sarkar ki parta hoon main lyrics
Meri Ulfat Madine se yunhi nahi Lyrics In English
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics In English
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai ,
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai.
Kal Pul Say Hamein Jis Nay Khud Par Lagana Hai,
Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai.
Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon,
Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai.
Izzat Say Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par,
Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Say Toh Jana Hai.
Yoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein,
Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai.
Soh Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat,
Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai.
Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pay Nigahein Hai,
Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai.
Yeh Keh Kay Dar E Haq Say Li Maut Mein Kuch Mohlat,
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai.
Aao Dar E Zahra Par Phalaye Hue Daman,
Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai.
Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisnay,
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai.
Har Waqt Woh Hain Meri Duniya E Tasawar Mein,
Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai.
Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni,
Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Nay Mana Hai.
Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar,
Jaisa Hai Naseer Aakhir, Sahil Toh Purana Hai.
Read Full Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics In Urdu
Aey Rasool-E-Ameen Khatm-Al-Mursalin Lyrics In English
Aey Rasool-E-Ameen Khatm-Al-Mursalin
Tujh Sa Koi Nahin, Tujh Sa Koi Nahin
Hai Aqeeda Ye Apna Ba-Sidq-O-Yaqeen
Tujh Sa Koi Nahin, Tujh Sa Koi Nahin
Bazm-E-Konain Pahle Sajayi Gayi
Phir Teri Zaat Manzar Pe Layi Gayi
Sayyad-Ul-Awwali Sayyad-Ul-Akhri
Tujh Sa Koi Nahin, Tujh Sa Koi Nahin
Mustafa Mujtaba Teri Madh-O-Sana
Mere Bas Me Nahin Dastaras Me Nahin
Dil Ko Himmat Nahin Lab Ko Yara Nahin
Tujh Sa Koi Nahin, Tujh Sa Koi Nahin
Jast-E-Qudrat Ne Aisa Banaya Tujhe
Jumla Ausaaf Se Khud Sajaya Tujhe
Aey Azal Ki Haseen Ae Abad Ke Haseen
Dhundhti Hai Tujhe Meri Jaan-E-Hazeen
Tera Sikka Rawan Kal Jahan Me Hua
Is Zameen Me Hua Asmaan Me Hua
Kiya Arab Kiya Ajam Sab Hain Zair-E-Nagin
Tauba Tauba Nahin Koi Tujh Sa Nahin
Aey Rasool-E-Ameen Khatm-Al-Mursalin
Tujh Sa Koi Nahin, Tujh Sa Koi Nahin
Hai Aqeeda Ye Apna Ba-Sidq-O-Yaqeen
Tujh Sa Koi Nahin, Tujh Sa Koi Nahin
Read Full Aey Rasool-E-Ameen Khatm-Al-Mursalin Lyrics In Urdu
Hamne aankho se dekha nahi hai magar lyrics In English
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar
Unki Tasweer seene mein maujood hai
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai
Hai Nazar mein Jamaale Habibe Khuda
Unki Tasweer Seene mein Maujud hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar
Unki Tasweer seene mein maujood hai
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai
Phool khilte hein pad kar ke Salle Ala
Jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-sabaa
Aisi Khushbu Chaman ke Ghulon mein kahaa.n
Jo Nabi ke Pasine mein Moujud hai
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar
Unki Tasweer seene mein maujood hai
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai
Chhodna Tera Taybah gawaara nahi.n
Saari Duniya mein Aisa Nazaara nahin
Aisa Manzar Zamaane ne dekha nahin
Jaisa Manzar Madine mein Moujud hai
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar
Unki Tasweer seene mein moujud hai
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai
Hamne maana ke Jannat bahot hai hasee.n
Chhod kar Ham Madina na jaye.n kahi.n
Yun to Jannat mein sab hai Madina nahi.n
Aur Jannat Madine me.n Moujud hai
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar
Unki Tasweer seene mein moujud hai
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai
Be-sahaaron ko seene se lipta liya
Jisne Jo Maanaga Usko ata kar diya
Wo Fakiron ke Afsar Shahe Ambiya
Wo Shahenshah Madine mein Maujud hai
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar
Unki Tasweer seene mein moujud hai
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai
Â
Read Full Hamne aankho se dekha nahi hai magar lyrics In Urdu
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein Lyrics In English
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
Ik Tera Naam Waseela He Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Iss Naam Sey Rahat Hogi
Ye Suna He Ke Bahot Rat Andheri Hogi
Qabar Ka Khof Na Rakhna Ae Dil
Waha Sarkar ke Chehare Ki Ziarat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Unko Mukhtar Banaya He Mere Mola Ne
Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
Jisko Hasnain Ke Baba Ki Ijazat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Unki Chokhat Pe Pare He to Bari Moj Mein He
Lot Ke Ayengey Jab Us Dar Sey
Merey Dil Tu Hi Bata Kya Teri Halat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Hashr Ka Din Bhi Ajab Dekhne Vala Hoga
Zulf Lehra Ke Wo Jab Ayenge
Phir Qayamat Mein Bhi Ik Aur Qayamat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Rashk Sey Door Karey Deyktey Hogay Zaahid
Jab Sare Hashr Gunahgaro Pe
Mere Aaqa Ka Karam Hoga Inayat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Kahi Yaseen Kahi Taha Kahi wa-shams Aaya
Jiski Qasme Mera Rab Yad kare
Kitni Dil-Kash Mere Mehboob Ki Surat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Do Jahaan Mein bhi Use Kon Pana me lega
Hoga Ruswa wo Sare Hashr Jise
fatma Zahra Ke Bachcho Se Adawat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Mere Sarkaar Bulayenge, Un Ki Chokhat Pe,
Wo Nazaara Phir Me main to dekhunga,
Dekh Kar Gumbad-E-Khazra, Meri Ulfat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Apna Daman To Gunaho Se Bhara He “Altaf”
Ik Sahara He Ke Mein Unka Hoon
Bas Issi Nisbat Se Sar-e-hashr Shifa-at Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein …..
Last Word
“5 behtareen English naatein” ke barey mein faraham kardi hui malumaat ki behtareen shahadat yehi hai ke naatein hamari deeni warasat ka aham hissa hain.
jo hamein apne khuda ki taraf apni ibadat ke izhaar ke liye ek zariya faraham karti hain. Yahan par pesh kiye gaye paanch naatein kalaami tor par bohat khubsurat aur ilhami hain jo dil ko choo jaatey hain.
Inn naaton ko English zabaan ke liye ek khush-usloob aur hamwar adaigi ke saath likhi gayi hain.
FAQs
Owais Raza Qadri, Hafiz Tahir Raza
Naat sunne ke kai fayde hain, jaise ki:
- Dil ko sukoon milta hai
- Rohaniyat barhti hai
- Gunahon se bachne ka zariya
- Acchi adab aur ahlak
- Hidayat milti hai
Bahot sare fayde hai. pahle to sawab bahoot jyada hai. aur 4qul padhne se bahoot fayda milta hai.