5 Best Nadeem Sarwar Noha Lyrics (Read & Download)

Nadeem Sarwar Noha Lyrics
Noha All Noha From Nadeem Sarwar
Reciter Nadeem Sarwar
Video By Nadeem Sarwar

Table of Contents

Overview

Assalamu Alaikum Nazreen ! “Nadeem Sarwar Noha Lyrics” Nadeem Sarwar naam se mashhoor ek reknowned noha-khawan (Nauha reciter) hain, jo apni khushboo dar awaaz aur roohani andaaz mein maqbool hain.

Unki noha-khwani ek aala darja haasil karti hai, aur wo Imam Hussain (R.A) aur Ahl-e-Bait (A.S) ke ishq-o-mohabbat bhare noha aur nauhay ki gayeki mein maahir hain.

Unke noha ke lyrics, Karbala ki shaan aur Imam Hussain (R.A) ke qurbani ka jazba barqarar rakhte hain. 

5 Best Nadeem Sarwar Noha Lyrics

Hoga Ya Hussain Lyrics

Hoga Ya Hussain

Kesa Pyara Nara Hai Yeh
Har Dil Ne Pukara Hai Yeh
Mola Yeh Hamara Hai
Ya Mola Ya Hussain

Mera Mola Sabne Dil Se Mana Hai Yeh
Sabne Jisko Pana Hai Yeh
Hai Hum Sbka Khazana Hai Yeh
Ya Mola Ya Hussain

Mola Hamara Jisk Dil Mai Bhi Rahega
Hur Ki Tarha Se Uska Dil Bhi Yeh Kahay Ga
Tum Besal Mola, Tum Lazawal Mola
Tum Besal Mola, Tum Lazawal Mola

Har Dil De Arhi Hai Mola Yeh Sada
Mola Yeh Sada, Mola Yeh Sada

Hoga Jab Bedar Jab Zamana Ya Hussain
Hoga Jab Bedar Jab Zamana Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain

Hoga Jab Bedar Jab Zamana Ya Hussain
Hota Tha Ya Hussain, Hota Hai Ya Hussain
Hota Rahega Ya Hussain,ya Hussain

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain

Teri Qurabni Mola Deti Hai Gawahi
Har Dil Hoga Mola Teri Badshahi
Har Dil Hoga Mola Teri Badshahi

Tera He Naam Hoga
Tera Paigham Hoga
Tera He Naam Hoga
Tera Paigham Hoga

Sab K Dilo Mai Hogi Zinda Karbala
Ghar Ghar Hoga Apka Jab Aana Ya Hussain
Ghar Ghar Hoga Apka Jab Aana Ya Hussain

Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain

Ha Hoga…

Read & Download Full Lyrics:- Hoga Ya Hussain Lyrics By Nadeem Sarwar

Maula Muhammad lyrics

Mustafa Mustafa Mustafa Mustafa (SAW)

Aaqa aaqa ya shahe madina

Wallah wallah manam aashiko shaida
Maula Muhammad Maula Muhammad
Maula Muhammad Maula Muhammad

Aaqa aaqa ya shahe madina
Wallah wallah manam aashiko shaida
Maula Muhammad Maula Muhammad
Maula Muhammad Maula Muhammad

Allah ke mehboob hai pyare hai muhammad
kaunain ki aankho ke sitare hai Muhammad
Ye naaz hai hamko ki hamare hai Muhammad
Nabi Allah, Habib Allah, Rahamtullah,Rasoolallah

Aaqa nabi hamare, Salle Aala sahare Sara jahan Pukare
Maula Muhammad Maula Muhammad
Maula Muhammad Maula Muhammad

Dil ka sahara hai, Jag ka ujala hai, pyaro se pyare rasoolallah
Achho se achhe hai, Uncho se unche hai, aaqa hamare rasoolallah

Maula Muhammad Maula Muhammad
Maula Muhammad Maula Muhammad

Sarkar ne bando ko khuda se hai milaya
Insan ko jine ka salika hai sikhaya
Dil dil se mila hai gale sabko lagaya -2
Allah Allah, Shahe wala nahi dekha aap jaisa

Aaqa nabi hamare, Salle Aala sahare Sara jahan Pukare
Maula Muhammad Maula Muhammad
Maula Muhammad Maula Muhammad

Read & Download Full Lyrics:- Maula Muhammad lyrics by Nadeem Sarwar

Zara Sa Pani Lyrics

Haye Hussain Jab Ky Chaly Ay Baad E Dopahar Ran Ko
Na Tha Koi Ky Jo Thamy Rakab E Tosan Ko
Sakina Tham Rahi Thiin Abaa Ky Daman Ko
Hussain Chupky Khary Hain

Waa Ghurbata Waa Museebata
Waa Ghurbata Waa Meseebata

Hussain Chupky Kharhy Huye Hain
Waa Ghurbata Waa Museebata

Hussain Chupky Khary Huye Hain
Nazar Alam Par Garhi Hui Hai
Sakina Thamy Abaa Ka Daman
Yeh Apny Baba Sy Keh Rahi Hain

Ay Pyaray Baba Qasam Tumhari
Main Tishna Lab Hun Zara Sa Pani

Waa Ghurbata Waa Museebata
Waa Ghurbata Waa Museebata

Chacha Sy Ay Baba Jan Keh Den
Sakina Pyasi Hai Teen Din Sy
Zaban Py Kaanty Parhy Huye Hain
Yeh Mashk Khali Hai Teen Din Sy
Lo Baba Dekho Yeh Mashk Khali
Main Tishna Lab Hun Zara Sa Pani

Waa Ghurbata Waa Museebata
Waa Ghurbata Waa Museebata

Read & Download Full Lyrics:- Zara Sa Pani Lyrics

Rok Na Tu Rahwar Lyrics

Haye Hussain Ya Hussain Haye Hussain
Jab maktal ko majlum chala
Zainab Ne Lagam ko Tham liya
Tujhe Jaane Do Dil nahin karta
Bin Tere Jiyu Dil Nahi Karta
Maula Ne Kaha Mujhe Jana Hai

Mujhe Vada bahan nibhaanaa hai
na lashkar Na Garbar Raha
Tu Ujad Gai main Ujad Gaya
han Nahin Lagada Dil Mera
Mera Na Koi ghamkar

Zainab rok na Tu rahwaar ..2
Mil Veer ko Aakhiri vaar .3

Mera lashkar Raha Na salar
Zainab rok na Tu rahwaar …2

Haye Hussain Ya Hussain
Haye Hussain Ya Hussain

Aao Bahana Zainab aao
Mere Sine Se Lag Jao
Beti Ali ki na ghabrao
Aao meri Aas bnao
Na Hoga Ab Milna

Mujhe Dekh Le Aakhri bar
Zainab rok na Tu rahwaar …2
Mera lashkar Raha Na salar

Zainab rok na Tu rahwaar …2
Haye Hussain Ya Hussain
Haye Hussain Ya Hussain

Read and Download Full Lyrics:- Rok Na Tu Rahwar Lyrics

Abbas Na Ab Laut ke Aayega Sakina lyrics

NA RONA SAKINA
ABBAS NA AB LAUT KE AAYEGA SAKINA
AB KAUN TERE NAAZ UTHAYEGA SAKINA

BHAI SE WIDA HOKE YUN FARMAATE THAY MAULA
AB KAUN MERE GHAR KO BACHAYEGA SAKINA
ABBAS NA AB LAUT KE AAYEGA SAKINA

KYA HOGA ZARA DAYR MAY MALOOM HAI HUMKO
TAR KHOON MAY ALAM NEHR SE AAYEGA SAKINA
ABBAS NA AB LAUT KE AAYEGA SAKINA

EK SHOR HAI KOHRAAM HAI BIBI LABE DARYA
LAGTA HAI KE AB SHER NA AAYEGA SAKINA
ABBAS NA AB LAUT KE AAYEGA SAKINA

TALWARO MAY NAIZO MAY GHIRA HAI MERA BHAI
WO MASHK O ALAM KAISE BACHAYEGA SAKINA
ABBAS NA AB LAUT KE AAYEGA SAKINA

ABBAS NA HONGE TERA BABA BHI NA HOGA
AB KAUN TERI PYAAS BUJHAYEGA SAKINA
ABBAS NA AB LAUT KE AAYEGA SAKINA

KIS KE LIYE BIBI DARE QAIMA PE KHADI HO
AB KOI TARAAYI SE NA AAYEGA SAKINA
ABBAS NA AB LAUT KE AAYEGA SAKINA

Read and Download:- Abbas Na Ab Laut ke Aayega Sakina lyrics

FAQs

Ji haan, Nadeem Sarwar ke nohao ke lyrics asaani se samajhne aur yaad karne ke layak hote hain. Unki shayari aam logon tak pahunchne wali hoti hai aur nohao mein shaamil alfaaz aur bayan khaas tareeqe se bayan hote hain.

Nadeem Sarwar ke nohao ko log unke qabil-e-tarif aur dil ko choo lene wale andaz ki wajah se pasand karte hain.

Nadeem Sarwar ke nohao ka maqsad Imam Hussain (AS) aur Karbala ki shahadat ko yaad rakhna, azadari ko roohaniyat se bharna aur logon ke dilon mein mohabbat-e-Ahlebait (AS) ka jazba paida karna hota hai.

Nadeem Sarwar ke nohao ka andaaz roohani aur dil ko chhoo lene wala hota hai. Unki awaz mein bayan hone wala jazba aur dard azaadari ke mahaul ko aur bhi gehra kar dete hain.

Nadeem Sarwar ke nohao mein Imam Hussain (AS) aur Karbala ki shaan, Ahlebait (AS) ke ishq o muhabbat, taziyat ka andaz, aur masroofiyaat ka zikr shamil hota hai.

Sharing Is Caring:

Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.

Leave a Comment