Nemate Bant-Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Lyrics With Tazmeen (Read & Download) 2023
Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen ! “Nemate Bant-Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Lyrics With Tazmeen” ek naat lyrics hai jo roohaniyat aur mohabbat ke izhaar mein shaa’ir ke zariye likha gaya hai.
Nemate Bant-Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Lyrics With Tazmeen In English
Ye Woh Sach Hai Ke Jise Ek Jahaan Maan Gaya Dar Pe Aaya Jo Gada Ban Ke Woh Sultan Gaya Uske Andaaze Nawaazish Pe Main Qurbaan Gaya Ne’matein Baat-ta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya Saath Hi Munshi e Rehmat Ka Kalamdaan Gaya
Tujh Se Jo Pher Ke Muh Jaanibe Qur’an Gaya Surkhuru Hoke Na Duniya Se Woh Insaan Gaya Kitne Gustaakh Bane Kitnon Ka Imaan Gaya Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhyan Gaya Mere Maula Mere Aaqa Tere Qurbaan Gaya
Mehwe Nazaara Sare Gumbade Khizra Hi Rahi Door Se Sajda Guzaari Dare Waala Hi Rahi Roo Ba Roo Paake Bhi Mehroome Tamasha Hi Rahi Aaah ! Woh Aankh Ke Nakaame Tamanna Hi Rahi Haaye Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Armaan Gaya
Teri Chahat Ka Amal Zeest Ka Manshoor Raha Teri Dehleez Ka Phera Mera Dastoor Raha Ye Alag Baat Ke Tu Aankh Se Mastoor Raha Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Maa’moor Raha Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya
Dosti Se Koi Matlab Na Mujhe Bair Se Kaam Unke Ke Sadqe Mein Kisi Se Na Padaa Khair Se Kaam Unka Shaida Hoon Mujhe Kya Haram o Dair Se Kaam Unhe Jaana Unhe Maana Na Rakha Ghair Se Kaam Lillahil Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya
Aehteraam e Nabvi Daakhil e Aadat Na Sahi Sheer e Maadar Mein Aseelon Ki Nijaabat Na Sahi Ghar Mein Aadaab e Risaalat Ki Riwaayat Na Sahi Aur Tum Pe Mere Maula Ki Inayaat Na Sahi Najdiyon Kalma Padhane Ka bhi Ahsaan Gaya
Baam e Maqsad Pe Tamannao Ke Zeene Pohche Labe Saahil Pe Naseer Unke Safeene Pohche Jinko Khidmat Mein Bulaya Tha Nabi ne Pohche Jaan o Dil Hosh o Khirad Sab To Madine Pohche Tum Nahi Chalte Raza Saara To Saaman Gaya
Nemate Bant-Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Lyrics In Hindi
नेमते बांटता जिस सम्त वोह ज़ीशान गया साथ ही मुन्शिये रह़मत का क़लम-दान गया
ले ख़बर जल्द ही ग़ैरों की तरफ़ ध्यान गया मेरे मौला मेरे आक़ा तेरे कुरबान गया
आह वोह आंख कि नाकामे तमन्ना ही रही हाए वोह दिल जो तेरे दर से पुर अरमान गया
दिल है वोह दिल जो तेरी याद से मा’मूर रहा सर है वोह सर जो तेरे क़दमों पे कुरबान गया
उन्हें जाना उन्हें माना न रखा ग़ैर से काम लिल्लाहिल हम्द मैं दुन्या से मुस्लमान गया
और तुम पर मेरे आक़ा की इनायत न सही नज्दियो! कल्मा पढ़ाने का भी एह़सान गया
आज ले उनकी पनाह आज मदद मांग उनसे फिर न मानेंगे क़ियामत में अगर मान गया
उ़फ ये मुन्किर यह बढ़ा जोशे तअ़स्सुब आख़िर भीड़ में हाथ से कम बख़्त के ईमान गया
जानो दिल होशो ख़िरद सब तो मदीने पहुंचे तुम नहीं चलते रज़ा सारा तो सामान गया
Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.
Govandi, Maharashtra, India 400043