Marsiya | Salam Khak Nashino Lyrics |
---|---|
Reciter | Nasir Jahan |
Video By | Mirza Mukhtar Ali |
Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen ! “Salam Khak Nashino Lyrics” ek mashhoor marsiya hai jo Imam Hussain (علیه السلام) aur unke ahlebait ke shahadat ko yad karne ke liye likha gaya hai.
Is marsiya Lyrics mein Imam Hussain (علیه السلام) aur unke ashaab ki qurbaniyon ka zikr hai, jo Karbala ki jung mein apne imaan aur azmat ko sabit karne ke liye apni jaan qurban kar diye.
Salam Khak Nashino Lyrics In English
Salam Khaak Nasheeno Pah Soghwaroun Ka
Ghareeb Dete Hain Pursa Tumhare Pyaroun Ka
Salam Un Pah Jinhe Sharm Khaye Jaati Hai
Khule Saron Pah Aseeri Ki Qaak Aati Hai
Salam Un Pah Joh Zehmat Kashe Salasil Hai
Museebaton Me Imaamat Ki Pehli Manzil Hai
Salam Bhejtey Hain Apni Shahzadi Par
Ke Jinko Soump Gaye Marte Waqt Ghar Sarwar (As)
Musafirat Ne Jise Bebasi Yeh Dikhlaayi
Nisaar Kar Diye Bachhe Na Bach Saka Bhayi
Aseer Hoke Jise Shaamiyon Ke Narghe Me
Hussainiyat Hai Sikhana Ali (As) Ke Lehje Me
Sakina Bibi Tumhare Ghulam Haazir Hain
Bujhe Joh Pyaas Toh Ashkon Ke Jaam Haazir Hain
Yeh Sin Yeh Hashr Yeh Sadme Naye Naye Bibi
Kahan Pa Baithi Ho Qaime Toh Jal Gaye Bibi
Na Is Tarah Koi Kheti Hari Bhari Ujde
Tumhari Maang Bhi Ujdi Hai Goadh Bhi Ujdi
Pahaad Raat Badi Der Hai Savere Me
Kahan Ho Shaame Ghareeban Ke Ghup Andhere Mei
Zameene Garm Yateemi Ki Saqtiyaan Bibi
Woh Seena Jis Pah Ke Soti Thi Ab Kahan Bibi
Janabe Maadare Besheer Ko Bhi Sab Ka Salaam
Ajeeb Waqt Hai Kya Dein Tassaliyon Ka Payaam
Abhi Kaleje Me Ek Aag Si Lagi Hogi
Abhi Toh Goadh Ki Garmi Na Kam Huvi Hogi
Nahin Andhere Me Kuch Soojhta Kahaan Dhoondein
Tumhara Chand Kahan Chup Gaya Kahan Dhoondein
Nahin Layeenon Mein Insaan Koyi Quda Hafiz
Darinde Aur Yeh Bewaarisi Quda Hafiz
Salam Tum Pah Shaheedon Ke Bekafan Laashon
Salam Tum Pah Rasool-O-Batool Ke Pyaaro
Bachein Jo Aglay Baras Hum Hain Aur Yeh Gham Phir Hai
Jo Chal Basein Toh Yeh Apna Salam-E-Aakhir Hai
Salam Khak Nashino Lyrics In Hindi
सलाम ख़ाक नशीनों पे सोगवारों का,
ग़रीब देते हैं परसा तुम्हारे प्यारों का।
सलाम उन पर जिन्हें शर्म खाए जाती है,
खुले सर पे असीरी की ख़ाक आती है।
सलाम उस पर जो ज़हमत कशे सलासिल है,
मुसीबतों में इमामत की पहली मंज़िल है।
सलाम भेजते हैं अपनी शहजादी पर,
के जिसको सोनप गए मरते वक़्त घर सरूर।
मुसाफ़िरत ने जिसे बेबसी ये दिखलाई,
निस्तार कर दिए बच्चे, न बच सका भाई।
असीर होके जिसे शामियों के नर्गें में,
हुसैनियत है सिखाना अली के लहजे में।
सकीना बीबी तुम्हारे ग़ुलाम हाज़िर हैं,
बुझे जो प्यास तो आँसुओं के जाम हाज़िर हैं।
ये सुनो, ये हश्र, ये सदमे, नए नए बी बी,
कहां पे बैठी हो क़ीमे तो जल गए बी बी।
नहीं इस तरह कोई खेती हरी-भरी अजड़े,
तुम्हारी माँग भी अजड़ी है, गोद भी अजड़ी।
पहाड़ रात बड़ी देर है सुबह में,
कहां हो शाम ग़रीबां के घप अंधेरे में।
..ज़मीन गर्म, यतीमी की सख़्तियाँ बी बी,
वो सीना जिस पे के सो ती थी, अब कहां बी बी ..
जनाब-ए-मादरे बेशेर को भी सब का सलाम,
अज़ीब वक़्त है क्या, दीं तसल्लियों का पैग़ाम ..
अभी क़लेजे में एक आग सी लगी होगी,
अभी तो गोद की गर्मी न कम हुई होगी।
नहीं इंधेरे में कुछ समझता, कहां ढूँढें,
तुम्हारा चाँद कहां छुप गया, कहां ढूँढें..
नहीं लीनूं में इंसान कोई ख़ुदा हाफ़िज़,
दरिन्दे और ये बेवारिसी ख़ुदा हाफ़िज़।
सलाम तुम पे शहीदों के बिकफ़न लाशों,
सलाम तुम पे रसूल और बतूल के प्यारों।
बच्चीं तो अगले बरस हम ही हैं और ये ग़म फिर है,
जो चल बसीं तो ये अपना सलाम आख़िर है।
Salam Khak Nashino Lyrics In Urdu
سلام خاک نشینوں پہ سوگواروں کا
غریب دیتے ہیں پرسا تمہارے پیاروں کا..
سلام ان پہ جِنہے شرم کھاے جاتی ہے
کھلے سروں پہ اسیری کی خاک آتی ہے..
سلام اس پہ جو زحمت کشے سلاسل ہے
مصیبتوں میں امامت کی پہلی منزل ہے..
سلام بھیجتے ہیں اپنی شہزادی پر
کے جسکو سونپ گئے مرتے وقت گھر سرورؑ ..
مسافرت نے جسے بےبسی یہ دکھلایی
نثار کر دیے بچھے نہ بچ سکا بھایی..
اسیر ہوکے جسے شامیوں کے نرغے میں
حسینیت ہے سکھانا علیؑ کے لہجے میں..
سکینہؑ بی بی تمہارے غلام حاضر ہیں
بجھے جو پیاس تو اشکوں کے جام حاضر ہیں..
یہ سن یہ حشر یہ صدمے نۓ نۓ بی بی
کہاں پہ بیٹھی ہو قیمے تو جل گئے بی بی..
نہ اس طرح کوئی کھیتی ہری بھری اجڑے
تمہاری مانگ بھی اجڑی ہے گود بھی اجڑی ..
پہاڑ رات بڑی دیر ہے سویرے میں
کہاں ہو شام غریباں کے گھپ اندھیرے میں
..زمین گرم یتیمی کی سختیاں بی بی
وہ سینہ جس پہ کے سو تی تھی اب کہاں بی بی ..
جناب مادرے بےشیر کو بھی سب کا سلام
عجیب وقت ہے کیا دیں تسّلیوں کا پیام ..
ابھی کلیجے میں ایک آگ سی لگی ہوگی
ابھی تو گود کی گرمی نہ کم ہوی ہوگی..
نہیں اندھیرے میں کچھ سوجھتا کہاں ڈھونڈیں
تمہارا چاند کہاں چھپ گیا کہاں ڈھونڈیں..
نہیں لیینوں میں انساں کوئی خدا حافظ
درندے اور یہ بیوارسی خدا حافظ..
سلام تم پہ شہیدوں کے بکفن لاشوں
سلام تم پہ رسول و بتول کے پیاروں..
بچیں تو اگلے برس ہم ہیں اور یہ غم پھر ہے
جو چل بسیں تو یہ اپنا سلام آخر ہے
Salam Khak Nashino Video
Salam Khak Nashino MP3 Download
FAQs
Is marsiya ka maqsad Imam Hussain (علیه السلام) aur unke ashaab ki qurbaniyon ko yaad karke unke azmat aur imaan ki misaal ko zinda rakhna hai. Iske zariye log unki shahadat aur qurbaniyon ki ehmiyat ko samajhte hain.
Ji haan, "Salam-e-Akhir" marsiya Imam Hussain (علیه السلام) aur unke ashaab ki qurbaniyon ka zikr karte hue sunne walon ko qareebi hawaley se la kar emotional karti hai. Iske lyrics aur tone mein maatam aur azaadi ka jazba hota hai.
"Salam-e-Akhir" marsiya ko Muharram ke ashura ya chehlum jaise islami events par suna jata hai. Ye un dino mein Imam Hussain (علیه السلام) ki yaad aur unke ashaab ki qurbaniyon ko yaad karne ke liye recite kiya jata hai.
"Salam-e-Akhir" ek marsiya hai jo Imam Hussain (علیه السلام) aur unke ashaab ki shahadat aur qurbaniyon ka adabi zikr karne ke liye likha gaya hai. Is marsiya mein unke azmat aur imaan ki misaal di gayi hai.