Table of Contents
5 Best Tazmeen Naat Lyrics In English
- Nemate Bant-Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Lyrics With Tazmeen
- Unki Mahak Ne Dil Ke Tazmeen Lyrics
- Chamak Tujhse Pate Hain Sab Pane Wale With Tazmeen Lyrics
- Munawwar Meri Ankhon Ko Lyrics With Tazmeen
- Wah Kya Judo Karam Hai With Tazmeen Lyrics
Nemate Bant-Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Lyrics With Tazmeen
Ye Woh Sach Hai Ke Jise Ek Jahaan Maan Gaya
Dar Pe Aaya Jo Gada Ban Ke Woh Sultan Gaya
Uske Andaaze Nawaazish Pe Main Qurbaan Gaya
Ne’matein Baat-ta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya
Saath Hi Munshi e Rehmat Ka Kalamdaan Gaya
Tujh Se Jo Pher Ke Muh Jaanibe Qur’an Gaya
Surkhuru Hoke Na Duniya Se Woh Insaan Gaya
Kitne Gustaakh Bane Kitnon Ka Imaan Gaya
Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhyan Gaya
Mere Maula Mere Aaqa Tere Qurbaan Gaya
Mehwe Nazaara Sare Gumbade Khizra Hi Rahi
Door Se Sajda Guzaari Dare Waala Hi Rahi
Roo Ba Roo Paake Bhi Mehroome Tamasha Hi Rahi
Aaah ! Woh Aankh Ke Nakaame Tamanna Hi Rahi
Haaye Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Armaan Gaya
Teri Chahat Ka Amal Zeest Ka Manshoor Raha
Teri Dehleez Ka Phera Mera Dastoor Raha
Ye Alag Baat Ke Tu Aankh Se Mastoor Raha
Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Maa’moor Raha
Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya
Dosti Se Koi Matlab Na Mujhe Bair Se Kaam
Unke Ke Sadqe Mein Kisi Se Na Padaa Khair Se Kaam
Unka Shaida Hoon Mujhe Kya Haram o Dair Se Kaam
Unhe Jaana Unhe Maana Na Rakha Ghair Se Kaam
Lillahil Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya
Aehteraam e Nabvi Daakhil e Aadat Na Sahi
Sheer e Maadar Mein Aseelon Ki Nijaabat Na Sahi
Ghar Mein Aadaab e Risaalat Ki Riwaayat Na Sahi
Aur Tum Pe Mere Maula Ki Inayaat Na Sahi
Najdiyon Kalma Padhane Ka bhi Ahsaan Gaya
Unki Mahak Ne Dil Ke Tazmeen Lyrics
Noore Khuda Ne Kya Kya Jalwe Dikha Diye Hain
Seene Kiye Hai Raushan Dil Jagmaga Diye Hain
Lehra Ke Zulfe Mushkee(n) Naafe Luta Diye Hain
Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain
Jis Raah Chal Diye Hai Koonche Basa Diye Hain
Aankhen Kisi Ne Maangi Jalwa Kisi Ne Maanga
Zarra Kisi Ne Chaha Sehra Kisi Ne Maanga
Badh Kar Hi Use Se Paaya Jitna Kisi Ne Maanga
Mere Kareem Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga
Dariya Baha Diye Durbe Baha Hain
Gar Yoon Hi Rang Apna Mehshar Me Zard Hoga
Dozakh ke Dar Se Larzaa(n) Har Ek Fard Hoga
Tere Nabi Ko Kitna Ummat Ka Dard Hoga
Allah ! Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga
Ro Ro Ke Mustafa Ne Dariya Baha Diye Hain
Apne Karam se Jo Do Ab To Tumhari Jaanib
Jo Jee Mein Aaye So Do Ab To Tumhari Jaanib
Paalo Humein Ke Kho Do Ab To Tumhari Jaanib
Aane Do Ya Dubo Do Ab To Tumhari Jaanib
Kashti Tumhi Pe Chhodi Langar Utha Diye Hain
Chamak Tujhse Pate Hain Sab Pane Wale With Tazmeen Lyrics
Tumhi Farsh Se Arsh Par Jaane Wale
Tumhi Ne’mate Rab Se Dilwane Wale
Tere Aage Sab Haath Phailaane Wale
Chamak Tujh Se Paate Hai Sab Paane Wale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale
Hai Be Misl Tera Karam Jaane Izzat
Ghulaamo Pe Har Dam Hai Teri Inaayat
Wo Gulshan Ho Sehra Ho Darya Ki Parvat
Barasta Nahi Dekh Kar Abre Rehmat
Bado Par Bhi Barsaade Barsaane Wale
Sawaari Se Apni Tu Jis Dum Utarna
Madine Ke Zaair Zara Tu Sambhalna
Yaha Tha Mere Mustafa Ka Guzarna
Haram Ki Zameen Aur Qadam Rakh Ke Chalna
Are Sar Ka Mauka Hai O Jaane Wale
Aye Mushkil Kusha Kije Mushkil Kushaayi
Tadap Kar Jo Maine Sada Ye Lagaayi
To Aaqa Ki Rehmat Ye Paigaam Laayi
Ab Aayi Shafa’at Ki Sa’aat Ab Aayi
Zara Chain Le Mere Ghabraane Wale
Ghulaame Nabi Khuld Me Jaa Basega
Jahannam Me Najdi Munafiq Jalega
Jo Aashiq Hai Wo To Hamesha Kahega
Rahe Ga Yoon Hi Un Ka Charcha Rahega
Pade Khaak Ho Jaaye Jal Jaane Wale
Kabhi Ghauso Khwaaja Ke Naaro Se Uljhe
Kabhi Auliya Ke Mazaaro Se Uljhe
Duroodo Se Uljhe Salaamo Se Uljhe
Sahiul Aqeeda Imaamo Se Uljhe
Ye Kha Kar Niyaaze Niyaazo Se Uljhe
Tera Khaye Tere Ghulaamo Se Uljhe
Hai Munkir Ajab Khane Gurrane Wale
Munawwar Meri Ankhon Ko Lyrics With Tazmeen
Zaban o gosh ko sare gunahon se safa karden
Jabeen e ishq ko Roshan mere baher e khuda karden
Mere khalb o jigar ko mere Aakha baa Wafa karden
Munawwar meri ankhon ko mere shamsuduha karden
Gamon ki dhoop main wo sayaye zulfe data karden.
Nabi siddeq e Akber ko imamul Atkhiya karden
Umer Usman ko adalo wafa ka Ayena karden
Ali ko misl haron apna Naib Mustafa karden
Jahan bani ata karden bhari jannat hiba karden
Nabi mukhter kul hain jis ko jo chahen Ata karden
Masih e paak jis ko dam se Jaan nao Ata karden
Mere mukhtar Aqa is ko thoker se Ada karden
Mahir palte khamar shakh ho ishara ger shaha karden
Jahan main unki chalti hai wo dam main Kiya se Kiya karden
Zameen ko Aasman karden suraya ko Sara karden.
Monawwar Arsh ko bhi ker Gaya nakhshe khadam jinka
Bana jinka na saya kaise phir khaka bane unka
Lakhab shamsuduha badrudduja norulhuda unka
Tabassum se guma guzre Shab e tareek per dinka
Zia rukh Se Diwaron ko Roshan Aina karden.
Chalo Aye sunniyon ka khil Aa Khama karden
Nabi ki Azmaton Namoos per sub kuch fida karden
Sahaba Auliya se apne rishton ko khara karden
Jahan main Aam paigam e Shah e Ahemad Raza karden
Palat ker pichey dekhen phir se tajdeed e wafa karden.
Wah Kya Judo Karam Hai With Tazmeen Lyrics
Koi Duniya E Ata Me Nahi Hamta Tera
Ho Jo Hatim Ko Mayassar Ye Nazara Tera
Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Me Ye Rutba Tera
Wah Kya Joodo Karam Hai Shahe Batha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Mangne Wala Tera
Kuch Bashar Hone Ke Naate Tujhe Khud Sa Jaane
Aur Kuch Mahaz Payaami Hi Khuda Ka Jaane
Inki Aukaat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jaane
Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane
Kusrawa Arsh Pe Udta Hai Pharera Tera
Kai Pushton Se Ghulami Ka Ye Rishta Hai Bahaal
Yahi Tifli Aur Jawaani Ke Bitaaye Maho Saal
Ab Budhape Me Khudara Hume Yoon Dar Se Na Taal
Tere Tukdon Pe Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiya Khaaye Kaha Chchod Ke Sadqa Tera
Ghame Dauran Se Ghabraiye To Kisse Kahiye
Ab Apni Uljhan Kise Batlaiye Kisse Kahiye
Cheer Kar Dil Kise Dikhlaiye Kisse Kahiye
Kiska Muh Takiye Kaha Jaaiye Kisse Kahiye
Tere Hi Qadmon Pe Mit Jaaye Ye Paala Tera
Last Word
“5 behtareen Tazmeen Naat Lyrics naatein” ke barey mein faraham kardi hui malumaat ki behtareen shahadat yehi hai ke naatein hamari deeni warasat ka aham hissa hain.
jo hamein apne khuda ki taraf apni ibadat ke izhaar ke liye ek zariya faraham karti hain. Yahan par pesh kiye gaye paanch naatein kalaami tor par bohat khubsurat aur ilhami hain jo dil ko choo jaatey hain.
Inn naaton ko English zabaan ke liye ek khush-usloob aur hamwar adaigi ke saath likhi gayi hain.
FAQs
"Tazmeen" ek Urdu lafz hai, jo kehne mein istemal hota hai jab koi shayari ya nazm kisi shakhs ya cheez ki tazeem ya tajweed mein likhi jaati hai. Yeh lafz khobi aur husn ka izhar karne ke liye istemal hota hai. Tazmeen ke zariye, kisi shakhs ya mawsoof ko adbiyat, mahabbat, ya taqat ka izhar kiya jata hai.
Jab hum "Tazmeen Naat" ki baat karte hain, to iska matlab hai ke yeh naat khaas taur par Huzoor-e-Pak (صلى الله عليه وسلم) ke fazail aur shaan mein likhi gayi hai, jise tazmeen aur tajweed ke saath pesh kiya gaya hai. Isme shayari aur soorat ka khaas taur par dhyan rakha gaya hai, taaki Huzoor (صلى الله عليه وسلم) ki mahabbat aur tazeem ko khoobsurat andaazon mein pesh kiya ja sake.
Naat sunne ke kai fayde hain, jaise ki:
- Dil ko sukoon milta hai
- Rohaniyat barhti hai
- Gunahon se bachne ka zariya
- Acchi adab aur ahlak
- Hidayat milti hai
Bahot sare fayde hai. pahle to sawab bahoot jyada hai. aur 4qul padhne se bahoot fayda milta hai.