Ya Nabi Sab Karam Hai Tumhara Lyrics In Urdu, Hindi & English 2023
Table of Contents
Overview
Assalamu Alaikum Nazreen ! “Ya Nabi Sab Karam Hai Tumhara Lyrics” ek khubsurat naat hai jo Hamare Nabi Hazrat Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) ki tareef aur unki shaan mein likhi gayi hai.
Ye naat lyrics unke fazl-o-karam aur shafqat par tawajjo dilaati hai. Ismein Hamare Nabi ki muhabbat aur unki paak fazilat ki tareef ki gayi hai.
Is ke bol bala ki taraf ishara hai ke Hamare Nabi ki khubiyaat aur rehnumaai, jo humare liye rahmat hai, hamari zindagi ko kitna haseen banati hain.
Ya Nabi Sab Karam Hai Tumhara Lyrics In English
Ya Nabi sab karam hai tumhara Yeh joh waare niyare huwe hai Ab kami ka tasawwur bhi kaisa Jab se mangte tumhare huwe hai
Koi muh na lagata tha hum ko Paas tak na bithata tha hum ko Jab se thama hai daaman tumhara Duniya waale hamare huwe hai
Unke darbar se jab bhi maine Panjatan ke waseele se manga Mujh ko khairaat fauran mili hai Khoob mere guzaare huwe hai
Door hone ko ab hai yeh doori Unki chaukhat pe hogi huzoori Khwaab me mujh ko Aaqa ke dar se Haazri ke ishare huwe hai
Hashr ke roaz jab mere Aaqa Ummati ki shifa`at karenge Rab kahega unhe maine baksha Joh deewane tumhare huwe hai
Chahte ho agar neyk naami Aal e Zahra ki kar lo ghulaami Unke sadqe se zaahid niyaazi Poor sukoon gum ke maare huwe hai
Ya Nabi Sab Karam Hai Tumhara Lyrics In Hindi
या नबी सब करम है तुम्हारा, ये जो वारे-न्यारे हुए हैं अब कमी का तसव्वुर भी कैसा जब से मँगते तुम्हारे हुए हैं
कोई मुँह न लगाता था हम को पास तक न बिठाता था हम को जब से थामा है दामन तुम्हारा दुनिया वाले हमारे हुए है
दूर होने को है अब ये दूरी उन की चौखट पे होगी हुज़ूरी ख़्वाब में मुझ को आक़ा के दर से हाज़री के इशारे हुए है
देख कर उन के रोज़े के जल्वे मुझ को महसूस ये हो रहा था जैसे मंज़र ये सारे के सारे आसमाँ से उतारे हुए हैं
उन के दरबार से जब भी मैंने पंजतन के वसीले से माँगा मुझ को ख़ैरात फ़ौरन मिली है ख़ूब मेरे गुज़ारे हुए हैं
हश्र के रोज़ जब मेरे आक़ा उम्मती की शफ़ाअ’त करेंगे रब कहेगा, उन्हें मैंने बख़्शा जो दीवाने तुम्हारे हुए हैं
चाहते हो अगर नेक-नामी आल-ए-ज़हरा की कर लो ग़ुलामी उन के सदक़े से ज़ाहिद नियाज़ी ! पुर-सुकूँ ग़म के मारे हुए हैं
Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.
Govandi, Maharashtra, India 400043